Jumma ke din, Eid ke din se bhi bada hota hai. Lekin hum log iski wesi
kadar nahi karte jesi karna chahiye.
1) Gusl Karna
(aaj ke din simple tarike se nahi nahana chahiye, balki Gusl karna
chahiye, chahe gusl karne ki zaroorat ho ya na ho.
2)Ache Aur Saaf Kapde Pahnna.
3) Masjid Jaldi Jaana
(Masjid jitni jaldi jayege sawab utna zyada milega)
4) Masjid Paidal Jana
(Agar masjid pass ho to paidal jaana chahiye, Masjid paidal jaane se
bhi sawab zyada milta hai, har kadam par neki milti hai aur ye sunnat
to hai hi, sunnat ka sawab alag)
5) Ghar / Shop se hi wuzu karke jaana
(iska sawab bhi bahut zyada hai)
6) Pahli saff mein bethne ki koshish karna
(agar pahli saff mein bethne ki jagah ho to wahi bethna chahiye,
kyonki pehli saff mein bethne ka sawab zyada hai, ek hadees ka mafhoom
hai ki pehli saff mein namaz padhne aur azan dene ka sawab logo ko
pata chal jaaye to log aapas mein waha bethne aur azaan dene ke liye
jhagda karne lage) Lekin logo ke upar se hote hue pahli saff mein
bethne ki koshish na kare, agar khuli jagah ho to chale jayen.
Masjid mein beth kar Apne Kapdo Se Ya Badan Se Na Khelna
9) Khudba Ko Gaur Se Sunna
(jab khutba shuru ho jaaye to bilkul dhyan se khutba sunna chahiye,
chahe samajh aaye ya naa aaye, aur khutba ke time namaz nahi padhna
chahiye aur na baat karna chahiye.
10) Iske alawa Juma K Din Jo "Surah Kahaf" Padhega Usk Liye Usk Kadam
Se Le Kar Aasman K Bulandi Tak ek Noor Zahir Hoga Jo Kayamat Ke
Andhero Me Uske Kaam Aaye Ga Aur Us Juma Se Agle Juma Tak Ki Tamam
chhote gunaho Maaf Ho Jayege.. .Aur Jo Uski 10 Aakhri Aayate Padhe Ga
Wo Dajjal Ke Fitno Se Mahfuz Rahe Ga
11) Nabi E Kareem Sallallahu Alahi Wasallam Ka Irshad Hai Ki Juma Ke
Din Mujpar Kasrat Se (bahut zyada) Darud Bheja Karo, Darud Mere Huzur
Pesh Kiya Jata Hai. Ulmaa Farmate Hai Ki Kasrat Ki Kam Se Kam Mikdar
300 Hai.
12) Juma K Din Itar [Khushbu] Lagana chahiye.
ALLAH ham sab ko Amal ki Taufiq de Aameen
Summa Aameen
No comments:
Post a Comment